Funny Hindi Shayaris - Part 5

Funny Hindi Shayaris - Part 5

Khuda se Scooter manga.. Car di;
Apartment manga.. bangla diya;
dost manga to tumhain diya..
Khuda ne is bar aisa zulm kyoun kia
==================
Log ishq karte hain,Bade shor ke saath.
Humne bhi kiya,Bade zor ke saath.
Magar ab karenge,Thoda gaur ke saath.
Kyonki kal usko dekha,Kisi aur ke saath
===================
Aansun se palke bhigo leta hoon
Yaad teri aati hai to ro leta hoon
Socha ki bhula doon tujhe magar,
Har baar faisla badal deta hoon
===================
Aur bhi cheezain bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya dooston ne ishq furmane ke baad;
Is liye kamre ki ek ek cheez "check" karta hoon main
=============
Ladki: Chandni chand se hoti hai,
sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai,
hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi
to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi
to hazaron ka kya hoga
===================
Kar diya izhare-ishq hamne telephone par,
laakh rupaye ki bat thi,do rupaye main ho gayee
==================
Bahaar aane se pehle hi fiza badal gayi
Bahaar aane se pehle hi fiza badal gayi
Phool khilne se pehle hi bakri kha gayi
==================
Apne pyaar ka izhar karne wala hoon,
khat nahi taar karne wala hoon,
koi deewani to ab ghaas dalta hi nahi,koi deewani to ab ghaas dalta hi nahi,
isiliye ek buddiya se mahobbat karne wala hoon
==================
Mahobbat mein dil beqaraar karne waali hun,
bina daanton ke ye khumaar karne waali hun,
rab ne tees saal baad badli kismat,
70 ki sahi par pyaar karne waali hunnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn
==================

Comments