hatho ki lakire
badli thi jo mere
ab dil mein sulagti ye aag hai
car pochi, chai bati
bartan manje maine
bachpan hua barbad hai
choti umarse hi jana
aur pehchana maine
duniya ye badi kharab hai
shiksha diksha sanskar,
maa ka pyar, dost yaar
kismat mein mere kaha hai
thandi ho ya barsat
kap rahe the mere hath
kone mein pada raha main
na diya kisine mera sath
jisne bhi ye hath badaya
mujse apna kaam karaya
apni lalach ke liye
mujko hi bakra banaya
you toh main anath nahi
par maa baap ka sath nahi
kamai ka main sadhan hu
mujhe kam lagaye kahi kahi
kudrat ki kaisi ye maya
maa baap ka chine mujse saya
fir bhi in nazuk pairo se
maine kato pe chalke dikhlaya
itey chuti platey tuti
gir gir kar
kai galiya suni
maine pet bhar kar
nabalik hu
unhone kabhi socha nahi
bas kaam karaye chahe koi pahar
kaam kiya fir bhi thappad
bina chappar rah garmi sehkar
darr darr kar bhi haq na mila
parvadigar kuch toh rehem kar
chota muh hai tof badi baat na kar
jitne du dam usmein hi kaam kar
paise katenge tod fod ke aur
nahi jamta toh katle dusre shahar
main aur bhai behen jab bimar ho jaye
koi aspatal na le jaye na upchar karaye
ab kaise jiya jai aur kaise khaya jaye
meri paristhithi mujhe gunhegar banaye
manavta aur insaniyat ki baat na kar
bahar se sab safed par kale hai andar
ji raha tha mar mar kar
bhik mang chori kar kar
jiya aisa na jan bujkar
mann kare mera jaise le lu zeher
hatho ki lakire
badli thi jo mere
ab dil mein sulagti ye aag hai
car pochi, chai bati
bartan manje maine
bachpan hua barbad hai
choti umarse hi jana
aur pehchana maine
duniya ye badi kharab hai
shiksha dikha sanskar,
maa ka pyar dost yaar,
kismat mein mere kaha hai
Rapper - Prajakt Rebeloma
Directed and Edited by Sanket Galactus
Cinematography by Sandeep Khalsa
Comments
Post a Comment